main tahi-dast mohabbat men bhala kya deta
tere hisse se magar tujh ko ziyada deta
zindagi tu ne baḌi der laga di varna
main tujhe milta tire gaal pe bosa deta
ba.az auqat agar sher na hota mujh se
us ki ankhon ka ishara mujhe misra deta
main zamane ko banata to zamane bhar ko
teri ankhen tira chehra tira lahja deta
tu Thaharta to koi hal bhi nikal sakta tha
saath chalta na tire mashvara achchha deta
tum ko lalach thi ḳhazane ki so nakam hue
mujh se kahte to main us ghaar ka naqsha deta
itna ḳhush tha vo bichhaḌte hue mujh se varna
paanv paḌta main use rokta samjha deta
piiTh pichhe se agar vaar na karta ‘sahir’
apne dushman ke janaze ko main kandha deta
Leave a Reply