main shakl dekh ke kaise kahun ki kya hoga
hasin shaḳhs hai mumkin hai bevafa hoga
tumhen ḳhayal bhi aaya safar pe jaate hue
tumhare ba.ad hamara yahan pe kya hoga
main jhuuT bol ke aaya tha vapsi ka jise
vo shaḳhs ab bhi miri raah dekhta hoga
ye dosti na kahin pyaar men badal jaa.e
ab apne darmiyan thoḌa sa fasla hoga
ye raaz mujh pe khula ab ki mera koi nahin
main sochta tha mire saath bhi ḳhuda hoga
ye sha.iri ka to ḳhud shauq tha use ‘janbaz’
haan sha.iron se koi mas.ala raha hoga
Leave a Reply