ibtida se main intiha ka huun
main huun maghrur aur bala ka huun
tu bhi hai ik charagh-e-mohlat-e-shab
main bhi jhonka kisi hava ka huun
phenk mujh par kamand-e-naz apni
aaj main ham-safar saba ka huun
jis men malbus chand rahta hai
main bhi takma usi qaba ka huun
mujh ko apna samajh rahi hai tu
main kisi aur bevafa ka huun
is men meri ḳhata nahin koi
murtakib bas isi ḳhata ka huun
zindagi main abhi salamat huun
main asar teri bad-dua ka huun
mujh pe rakhta hai tohmat-e-ilhad
main bhi banda isi ḳhuda ka huun
ujḌe ḳhemon ka sogvar huun main
main azadar karbala ka huun
mujh ko ‘shahid’-kamal kahte hain
main bhi sha.ir huun aur bala ka huun
Leave a Reply