aa raha hai mire guman men kya
koi rahta tha is makan men kya
vo tapish hai ki jal uthe saae
dhuup rakkhi thi saeban men kya
ik tiri diid ki tamanna hai
aur rakkha hai is jahan men kya
kya hamesha hi aisa hota hai
mod aata hai darmiyan men kya
ki mire baad qatl se tauba
akhiri tiir tha kaman men kya
gungi bahri basaraton ke liye
khvab likkhe the imtihan men kya
kya sukun ki talash hai sab ko
ek halchal si hai jahan men kya
ret si ud rahi hai kyuun ‘uzma’
lag gaya ghun kisi chatan men kya
Leave a Reply