aql hairan hai rahmat ka taqaza kya hai
dil ko taqsir ki targhib tamasha kya hai
unhen jab ghaur se dekha to na dekha un ko
maqsad us parde ka ik dida-e-bina kya hai
ham shahadat ka junun sar men liye phirte hain
ham mujahid hain hamen maut ka khaTka kya hai
uḌta phirta huun main sahra men bagule ki tarah
kuchh nahin ilm mira malja-o-mava kya hai
mera mansha hai ki duniya se kinara kar luun
ai gham-e-dost bata tera irada kya hai
baat pur-pech hansi lab pe shikan mathe par
dil samajhne se hai qasir ye muamma kya hai
jo tiri zulf pe ja kar na khile phuul vo kya
jo na uljhe tire daman se vo kanTa kya hai
ek khilta hua gulshan hai tumhara paikar
tum tabassum hi tabassum ho tumhara kya hai
main ne ik baat jo puchhi to bigaḌ kar bole
bad-gumani ke siva aap ne sikha kya hai
vo faqiron ko navazen na navazen ai ‘charḳh’
ham dua de ke chale a.enge apna kya hai
Leave a Reply