halat ke dariyaon men ḳhatre ke nishan tak
chal pa.enge kya aap mire saath vahan tak
main mulk-badar sabr bhi kar sakti thi lekin
ye dekhna tha zulm ki sarhad hai kahan tak
ḳhuddar tabi.at ko guzarti hai giran-bar
jab tishna-labi jaati hai ḳhud ab-e-ravan tak
ham jur.at-e-iz.har ke us daur se guzre
jis daur men alfaz ki kanTi thi zaban tak
ta-hadd-e-nazar bahta tha ik samt samundar
ik samt magar pyaas se ainThi thi zaban tak
Leave a Reply