misr men husn ki vo garmi-e-bazar kahan
jins to hai pe zulekha sa kharidar kahan
faiz hota hai makin par na makan par nazil
hai vahi tuur vale shola-e-didar kahan
aish o rahat ke talashi hain ye saare bedard
ek ham ko hai yahi fikr ki azar kahan
ishq agar kijiye dil kijiye kis se khali
dard o gham kam nahin is daur men gham-khvar kahan
qaidi us silsila-e-zulf ke ab kam hain ‘yaqin’
hain dil-azar bahut jan-giraftar kahan
Leave a Reply