main ‘shad’ tanha ik taraf aur duniya ki duniya ik taraf
saara samundar ik taraf aansu ka qatra ik taraf
us afat-e-jan ko bhi chehra to dikhana hi na tha
ik samt iisa dam-ba-khud ghash men hai muusa ik taraf
apne samand-e-naz ko ai shahsavar aa chhed kar
saf-basta hazir kab se hain mahv-e-tamasha ik taraf
saaqi baghair ahval ye pahuncha hai mai-khane ka ab
jaam ik taraf hai sar-nigun khali hai miina ik taraf
furqat men sab achchhe rahe dil ka magar ye haal hai
zakhm ik taraf badhta gaya dagh-e-suvaida ik taraf
didar-e-janan ka bhala kyuun kar tahammul ho sake
tirchhi nigahen ek su zulf-e-chalipa ik taraf
vo tegh le ke kahte hain dekhun to haq par kaun hai
main ik taraf ‘shad’ ik taraf saara zamana ik taraf
Leave a Reply