har qadam par bikhar bikhar jaana
vo mira shaam hi se ghar jaana
roz jaana tiri gali ki taraf
aur havaon se peshtar jaana
aarzu ek phuul ki hai ki
vo hamara shajar shajar jaana
yaad aate hain par ḳhayalon ke
kitni unchi uḌaan par jaana
is qadar chahna use dil se
apni sochon se aap Dar jaana
Duub jaana kabhi ik aansu men
kabhi dariya ko paar kar jaana
DhunDte DhunDte ujalon ko
raat ki aankh men utar jaana
Leave a Reply