taara taara utar rahi hai raat samundar men
jaise Dubne valon ke hon haath samundar men
sahil par to sab ke honge apne apne log
rah ja.egi kashti ki har baat samundar men
ek nazar dekha tha us ne aage yaad nahin
khul jaati hai dariya ki auqat samundar men
main sahil se lauT aaya tha kashti chalne par
pighal chuki thi lekin meri zaat samundar men
kaaT raha huun aise ‘amjad’ ye hasti ki rah
be-patvari naav pe jaise raat samundar men
Leave a Reply