jagna raton men yadon ke bhanvar men Dubna
vo dil-e-muztar ka sail-e-chashm-e-tar men Dubna
pahle apne nafs ki mismar karni hai fasil
aur us ke baad hai kar-e-digar men Dubna
bhar liya ankhon men dariyaon ko dariya ke liye
saḳht mushkil ho gaya paani ke ghar men Dubna
aur honge vo jinhen duniya ka ho ḳhauf-o-hiras
ham ne sikha hi nahin duniya ke Dar men Dubna
abla-pa.i ka mausam raas aa jaata agar
kaam aa jaata mira gard-e-safar men Dubna
Duub ke ubhre hain ham duniya ke har majdhar se
ab raha baaqi faqat naqd-o-nazar men Dubna
dusron ki aib-jui jis qadar asan hai
utna hi dushvar hai ḳhud ki nazar men Dubna
jaane kis manzil pe le jaa.e tujhe jazb-e-junun
har qadam ‘najmi’ tira naqd-o-nazar men Dubna
Leave a Reply