Main Sath-E-Sher Pe Ubhra Hun Aaftab Liye

maiñ sat.h-e-sher pe ubhrā huuñ āftāb liye

ḳhulūs-e-fikr shu.ūr-e-nazar ke ḳhvāb liye

suḳhan-shanās bhī hai fan se āshnā bhī hai

vo kal milā thā mujhe faiz kī kitāb liye

sukūn-e-jism to hāsil kabhī huā hī nahīñ

maiñ jī rahā huuñ tirī qurbatoñ ke ḳhvāb liye

jhulas rahā hai javānī kī lau meñ merā badan

tirī talāsh meñ huuñ garmī-e-shabāb liye

nazar uThā ki tire rū-ba-rū maiñ Thahrā huuñ

niyāz-o-nāz ke mahke hue gulāb liye

Leave a Comment