kuchh khushi se hamin ishq-e-sitam-ijad nahin
apne kahne hi men apna dil-e-nashad nahin
tujh sa be-rahm koi aur sitam-ijad nahin
dam bhi lene ki ijazat dam-e-be-dad nahin
ye naya zulm hai yarab ki unhin ka vaada
ham unhen yaad dilaen vo kahen yaad nahin
siikh jaata hai bashar ishq ke sadme sah kar
chot dil ki bhi kam az saili-e-ustad nahin
jaan hi jaegi ya sabr hi aa jaega
ya hamen aaj nahin ya dil-e-nashad nahin
yahi mahshar hai yahi vaada-e-farda ka hai din
aap kya bhuul gae aur mujhe yaad nahin
yuun hua huun main ‘nazar’ ishq-e-butan men kafir
main to main mere farishton ko khuda yaad nahin
Leave a Reply