Lagao Na Jab Dil to Phir Kyun lagawaT

lagāo na jab dil to phir kyuuñ lagāvaT

nahīñ mujh ko bhātī tumhārī banāvaT

paḌā thā use kaam merī jabīñ se

vo hañgāma bhūlī nahīñ terī chaukhaT

ye tamkīñ hai aur lab hoñ jān-e-tabassum

na khul jaa.e ai shoḳh terī banāvaT

maiñ dhoke hī khāyā kiyā zindagī meñ

qayāmat thī us āshnā kī lagāvaT

Thikānā tirā phir kahīñ bhī na hogā

na chhūTe kabhī ‘vahshat’ us but kī chaukhaT

Leave a Comment