• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Main Sari Umr Ahd-E-Wafa Mein Laga Raha

Main Sari Umr Ahd-E-Wafa Mein Laga Raha

main saari umr ahd-e-vafa men laga raha

anjam kah raha hai ḳhata men laga raha

saare purane zaḳhm na.e zaḳhm ne bhare

bekar itne din main dava men laga raha

aisa nahin ki chand na utra ho baam par

main hi tamam raat haya men laga raha

ai aql aur hoga koi us ki shakl ka

dil kaise maan le vo jafa men laga raha

ghar kar liya udaas fazaon ne dil men main

bahar ki ḳhush-gavar faza men laga raha

kya hai ye zindagi vo bata.ega kis tarah

jo shaḳhs saari umr qaza men laga raha

suraj to ja ke chain se bistar pe so gaya

shab bhar magar charagh hava men laga raha

mujh se namaz-e-ishq mukammal nahin hui

kis munh se main kahun ki ḳhuda men laga raha

bahra na mujh ko kar de ye ḳhamoshiyon ka shor

keval isi liye main sada men laga raha

kyuun mere haq men faisla utra nahin kabhi

main bhi to us ke saath dua men laga raha

vo chahta hai kya ye mujhe thi ḳhabar magar

men us ke saath saath dua men laga raha

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Mujhko Masnad Pe Qalamdan Bakhsha

poet

Naseho dil Kis Kane Hai Kis Ko Samjhate Ho Tum

ahmad-hamesh

Sar-e-Asman Sar-e-Zamin

poet

Shab Wasl Ki Bhi Chain Se Kyunkar Basar Karen

Kaun Se Shahar Mein Kis Ghar Mein Kahan Hona Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet