main rivayat huun ek bhuli hui
aur tu jiddaton men rahta hai
meri ankhen saval karti hain
kya khuda manzaron men rahta hai
saaten raqs kar rahi hain magar
mera dil uljhanon men rahta hai
parcham-e-jang jhuk gaya lekin
vasvasa sa dilon men rahta hai
go charaghan kiye gae kheme
par andhera dilon men rahta hai
aao maujon se puchh kar aaen
chand kin sahilon men rahta hai
Leave a Reply