• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Mujhe Bhul Ja

Mujhe Bhul Ja

shakeel-badayuni

mire saqiya mujhe bhuul ja

mire dilruba mujhe bhuul ja

na vo dil raha na vo ji raha

na vo daur-e-aish-o-khushi raha

na vo rabt-o-zabt-e-dili raha

na vo auj-e-tishna-labi raha

na vo zauq-e-bada-kashi raha

main alam-navaz huun aj-kal

main shikasta-saz huun aj-kal

main sarapa raaz huun aj-kal

mujhe ab khayal men bhi na mila

mujhe bhuul ja mujhe bhuul ja

mujhe zindagi se aziz-tar

faqat ek teri hi zaat thi

tiri har nigah mire liye

sabab-e-sukun-e-hayat thi

miri dastan-e-vafa kabhi

tiri sharh-e-husn-e-sifat thi

magar ab to rang hi aur hai

na vo tarz hai na vo taur hai

ye sitam bhi qabil-e-ghaur hai

tujhe apne husn ka vasta

mujhe bhuul ja mujhe bhuul ja

qasam iztirab-e-hayat ki

mujhe khamushi men qarar hai

mire sahn-e-gulshan-e-ishq men

na khizan hai ab na bahar hai

yahi dil tha raunaq-e-anjuman

yahi dil charagh-e-mazar hai

mujhe ab sukun-e-digar na de

mujhe ab naved-e-sahar na de

mujhe ab fareb-e-nazar na de

na ho vahm-e-ishq men mubtala

mujhe bhuul ja mujhe bhuul ja

Filed Under: Ghazal Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Sufi

Nahin Kisi Ki Tawajjoh Khud-Agahi Ki Taraf

Tumhaare Gham Ko Gham-E-Jaan Bana Liya Maine

Dil-E-Ranjur Se Likha Usne

Bas Ek sans Liya Khul Ke laKHt-laKHt Hua

mirza-ghalib

Aamad-E-Sailab-E-Tufan-E-Sada-E-Ab Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet