main raakh hota gaya aur charagh jalta raha
charagh jalta raha asman pighalta raha
main buund buund jala vasl ke kinare par
vo lahar lahar badan karvaTen badalta raha
lagi thi aag daraḳhton ke paar dariya men
main dekhta raha aur aftab Dhalta raha
bas ek shaam sar-e-dasht-e-karbala utri
phir us ke ba.ad gharon se alam nikalta raha
gulab bahta raha ḳhvahishon ke paani men
hava.en chalti rahin aur diya machalta raha
ajab safar tha mire us ke darmiyan ‘qaisar’
ghubar uḌta raha aur sitara chalta raha
Leave a Reply