qasam in ankhon ki jin se lahu Tapakta hai
mire jigar men ik atish-kada dahakta hai
guzishta kahish o andoh ke ḳhayal Thahar
mire dimagh men shola sa ik bhaḌakta hai
kisi ke aish-e-tamanna ki dastan na kaho
kaleja meri tamannaon ka dhaḌakta hai
ilaj-e-‘aḳhtar’-e-na-kam kyuun nahin mumkin
agar vo ji nahin sakta to mar to sakta hai
Leave a Reply