main niind ke aivan men hairan tha kal shab
ik ḳhvab miri aankh ka mehman tha kal shab
kis gham men bikharte rahe akash pe taare
kyuun chand pareshan pareshan tha kal shab
har aan koi yaad chamakti rahe dil men
har lamha koi shor thaa, tufan tha kal shab
kya janiye kya us ki nadamat ka sabab tha
kya janiye kyuun main bhi pasheman tha kal shab
Thahri hui lagti thi hava aur har ik shai
jaise ki badan vaqt ka be-jan tha kal shab
ik nuur sa phaila raha us samt se is samt
jugnu miri ummid ki pahchan tha kal shab
phir sub.h-e-munavvar ki basharat hui mujh ko
phir duur talak rasta asan tha kal shab
Leave a Reply