vaqt ko aate na jaate na guzarte dekha
na utarte hue dekha kabhi ilham ki surat
jama hote hue ik jagah magar dekha hai
shayad aaya tha vo khvabon se dabe paanv hi
aur jab aaya khayalon ko bhi ehsas na tha
aankh ka rang tulua hote hue dekha jis din
main ne chuma tha magar vaqt ko pahchana na tha
chand tutlae hue bolon men aahat bhi suni
duudh ka daant gira tha to vahan bhi dekha
boski beti miri chikni si resham ki dali
lipti-liptai hui reshmi tangon men padi thi
mujh ko ehsas nahin tha ki vahan vaqt pada hai
palna khol ke jab main ne utara tha use bistar par
lori ke bolon se ik baar chhua tha us ko
badhte nakhunon men har baar tarasha bhi tha
chudiyan chadhti utarti thiin kalai pe musalsal
aur hathon se utarti kabhi chadhti thiin kitaben
mujh ko maalum nahin tha ki vahan vaqt likha hai
vaqt ko aate na jaate na guzarte dekha
jamaa hote hue dekha magar us ko main ne
is baras boski atharah baras ki hogi
Leave a Reply