main kya karun koi sab mere iḳhtiyar men hai
safar men hai to bahut kuchh magar ghubar men hai
charagh-e-sub.h se ham lau laga.e baiThe hain
suna hai jab se ki ik gul bhi is sharar men hai
uḌa ke sar vo hatheli pe rakh bhi deta hai
bhali ye baat to maano ki shahryar men hai
kali khile to gareban yaad aata hai
ye dukh ḳhizan men kahan tha jo ab bahar men hai
hayat sabza-o-gul se tavil hai us ki
tumhare ashk mira ḳhuun kuchh to ḳhaar men hai
hujum us ki gali men hai sarfaroshon ka
‘suhail’ laghar o laffaz kis shumar men hai
Leave a Reply