main ḳhuub ahl-e-jahan dekhe aur jahan dekha
par ashna koi dekha na mehrban dekha
hamesha man.a tu karta tha baagh se ham ko
kuchh haal ab gul o gulshan ka baghban dekha
talab kamal ki koi na kijiyo zinhar
ki main ye kar ke fuzuli bahut ziyan dekha
na jaane kaun si saa.at chaman se bichhḌe the
ki aankh bhar ke na phir su-e-gulsitan dekha
sune ko dekhe pa ham kis tarah se den tarjih
ḳhuda to ham ne suna hai tumhen butan dekha
ba-rang-e-ghuncha bahar us chaman ki sunte the
pa juun hi aankh khuli mausam-e-ḳhizan dekha
na kahte the tujhe ‘qa.em’ ki dil kisi ko na de
maza kuchh is ka bhala tu ne ai miyan dekha
Leave a Reply