main kabhi makan se guzar gaya kabhi la-makan se guzar gaya
tire shauq men tujhe kya ḳhabar main kahan kahan se guzar gaya
hain qadam qadam pe vahan vahan miri justuju ki kahaniyan
tire sang-e-dar ki talash men main jahan jahan se guzar gaya
main gunahgar-e-vafa huun vo jo talash-e-yar ke josh men
jahan pesh aa.iin musibaten ba-ḳhushi vahan se guzar gaya
koi be-ḳhudi si hai be-ḳhudi mujhe ye bhi hosh nahin raha
tira dard dil men liye main kab tire astan se guzar gaya
miri rah-e-farz pe ham-nashin kahin husn tha kahin ishq tha
main ba-fazl-e-malik-e-do-jahan yunhi darmiyan se guzar gaya
kise DhunDhti hai nazar tiri yahan koi ahal-e-gunah nahin
vahi ik ‘naresh’ tha ai ḳhuda jo tire jahan se guzar gaya
Leave a Reply