ku-e-rusva.i se uTh kar daar tak tanha gaya
mujh se jite-ji na daman ḳhvab ka chhoḌa gaya
kya bisat-e-ḳhar-o-ḳhas thi phir bhi yuun shab-bhar jale
dosh par bad-e-sahar ke duur tak sho.ala gaya
ruuh ka lamba safar hai ek bhi insan ka qurb
main chala barson to un tak jism ka saaya gaya
kis ko be-gard-e-masafat shauq ki manzil mili
naghma-gar ki ḳhalvaton tak bar-ha naghma gaya
kaun mujh ko DhunDhta tha kuchh pata chalta nahin
bazm-e-ḳhuban men hazaron baar main aaya gaya
ham vo sha.er ki sunate hain surud-e-jan ‘hasan’
ek bhi sho.ala-nafas mahfil men gar dekha gaya
mil ga.e jab nira-dishvar dasht-e-ghurbat men ‘na.im’
ik naya rishta azimabad se joḌa gaya
Leave a Reply