main jab bhi qatl ho kar dekhta huun
to apnon hi ka lashkar dekhta huun
main duniya apne andar dekhta huun
yahin pe saara manzar dekhta huun
kabhi tasvir kar deta huun us ko
kabhi tasvir ban kar dekhta huun
mujhe is jurm men andha kiya hai
ki bina.i se baḌh kar dekhta huun
nashat-e-did tha ankhon ka jaana
ki ab pahle se behtar dekhta huun
vo manzar jo nazar aata hai ḳhali
ḳhud apne rang bhar kar dekhta huun
vo chehra haa.e vo chehra vo chehra
jise ḳhud se bhi chhup kar dekhta huun
Leave a Reply