main fart-e-masarrat se Dar hai ki na mar ja.un
likha hai mujhe us ne main had se guzar ja.un
ik baar hi ho jaa.e ho jaa.e jo hona hai
utrun main tire dil men ya dil se utar ja.un
jis raah men bhi dekhun men naqsh-e-qadam un ka
mujh par hai adab lazim ik pal to Thahar ja.un
vo baḌh ke laga lenge ḳhud mujh ko gale apne
jo samne men un ke ba-dida-tar ja.un
ankhen jo ata ki hain to ye bhi dua sun le
dekhun to use dekhun ya jaan se guzar ja.un
kyuun aankh miri zalim rah rah ke phaḌakti hai
mumkin hai vo aa jaa.en main bhi to sanvar ja.un
vo bhi to maza chakkhen kuchh dard mohabbat ka
achchha hai ki dil le kar main saaf mukar ja.un
kam-baḳht mohabbat bhi ik rog hai jan-leva
malum nahin mujh ko kab jaan se guzar ja.un
raste ki vahi mushkil manzil ki vahi duuri
aur dil ki vahi hasrat ta-hadd-e-nazar ja.un
palkon se chunun apni kanTe tiri rahon ke
juun barg-e-gul hasrat rahon men bikhar ja.un
gar chashm-e-karam un ki ho jaa.e kabhi mujh par
fan mera chamak uThe main aur nikhar ja.un
jis shahar ko chhoḌa tha mayus-e-vafa ho kar
ab dil ki yahi zid hai vaan bar-e-digar ja.un
haq baat kahi main ne milni hai saza mujh ko
jab manzil-e-dar aa.e mumkin nahin Dar ja.un
itni baḌi duniya men ik un ka sahara tha
jab vo hi nahin ham-dam phir ‘soz’ kidhar ja.un
Leave a Reply