kahan tak jafa husn valon ki sahte
javani jo rahti to phir ham na rahte
lahu tha tamanna ka aansu nahin the
baha.e na jaate to hargiz na bahte
vafa bhi na hota to achchha tha va.ada
ghaḌi do ghaḌi to kabhi shaad rahte
hujum-e-tamanna se ghuTte the dil men
jo main rokta bhi to naale na rahte
main jagunga kab tak vo so.en ge ta-kai
kabhi chiḳh uTThunga gham sahte sahte
batate hain aansu ki ab dil nahin hai
jo paani na hota to dariya na bahte
zamana baḌe shauq se sun raha tha
hamin so ga.e dastan kahte kahte
koi naqsh aur koi divar samjha
zamana hua mujh ko chup rahte rahte
miri naav is gham ke dariya men ‘saqib’
kinare pe aa hi lagi bahte bahte
Leave a Reply