na faqat yaar bin sharab hai talkh
aish o aram o khurd o khvab hai talkh
mithi baten kidhar gaiin pyare
ab to har baat ka javab hai talkh
saath dena ye bosa o dushnam
qand shirin hai aur gulab hai talkh
dil hi samjhe hai is halavat ko
go ba-zahir tira itaab hai talkh
dil se maston ke koi puchhe bayan
zahidon ko sharab-e-nab hai talkh
Leave a Reply