main duniya ki haqiqat janta huun
kise milti hai shohrat janta huun
miri pahchan hai sher-o-suḳhan se
main apni qadr-o-qimat janta huun
teri yaden hain shab-bedariyan hain
hai ankhon ko shikayat janta huun
main rusva ho gaya huun shahar-bhar men
magar kis ki badaulat janta huun
ghazal phulon si dil sahraon jaisa
main ahl-e-fan ki halat janta huun
taḌap kar aur taḌpa.egi mujh ko
shab-e-gham teri fitrat janta huun
sahar hone ko hai aisa lage hai
main suraj ki siyasat janta huun
diya hai ‘naqsh’ jo gham zindagi ne
use main apni daulat janta huun
Leave a Reply