• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / dil Pareshan Hai Kya Kiya Jae

dil Pareshan Hai Kya Kiya Jae

jaun-eliya

dil pareshan hai kya kiya jaae

aql hairan hai kya kiya jaae

shauq-e-mushkil-pasand un ka husul

sakht asan hai kya kiya jaae

ishq-e-khuban ke saath hi ham men

naz-e-khuban hai kya kiya jaae

be-sabab hi miri tabiat-e-gham

sab se nalan hai kya kiya jaae

bavajud un ki dil-navazi ke

dil gurezan hai kya kiya jaae

main to naqd-e-hayat laaya tha

jins-e-arzan hai kya kiya jaae

ham samajhte the ishq ko dushvar

ye bhi asan hai kya kiya jaae

vo baharon ki naz-parvarda

ham pe nazan hai kya kiya jaae

misr-e-lutf-o-karam men bhi ai ‘jaun’

yad-e-kanan hai kya kiya jaae

Filed Under: Ghazal Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

akbar-hyderabadi

Jaana-Pahchana Ajnabi

Alawa Jalwa-E-Mani Ke Kul Jahan Dekha

rashmi-bhardwaj

Kya Likhun

poet

Kuchh Na Kuchh Ranj Wo de Jate Hain Aate Jate

hatim-ali-mehr

Us Ka Haal-E-Kamar Khula Hamdam

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet