• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / kabhi yahan liye hue kabhi wahan liye hue

kabhi yahan liye hue kabhi wahan liye hue

Bedam Shah Warsi

kabhi yahan liye hue kabhi vahan liye hue

phiri hai justuju tiri kahan kahan liye hue

zamin-e-dil ki khaak hai sad-asman liye hue

tanazzulat-e-ishq men taraqqiyan liye hue

dil-o-jigar liye hue mata-e-jan liye hue

kisi ka navak-e-nazar talashiyan liye hue

usi gali se aai hai shamim-e-zulf laai hai

nasim-e-sub.h aai hai tasalliyan liye hue

mire gham-e-nihan men hai naved-e-ishrat-afrin

bahar hi bahar hai miri khizan liye hue

hamari aah ke sharar hamin ko phunkne lage

hava ke jhonke aae saath bijliyan liye hue

tiri gali men mah-ru pade hue hain char-su

tamam zarre khaak ke tajalliyan liye hue

na qurb-e-gul ki taab thi na hijr-e-gul men chain tha

chaman chaman phire ham apna ashiyan liye hue

nigah-e-ahl-e-raz men haqiqat-o-majaz men

hamari be-nishaniyan tira nishan liye hue

uthe hain hashr men fida-e-ku-e-yar is tarah

jabin men sajde dil men yad-e-astan liye hue

na dil milega ‘bedam’ aur na dil ki hasraten kahin

ki gum hua hai yusuf apna karvan liye hue

Filed Under: Ghazal Tagged With: Sufi Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Shama Mein Soz Ki Wo KHu Hai Na Parwane Mein

Kuchh Rup-Nagar Ka Zikr Karo Kuchh Rang-Mahal Ki Baat Karo

Suraj Ki Mizan Liye Ham, Wo the Barf Ki Baat Liye

Sufi

Mohan Jago Utho Mukh dhowo

sabiha-saba-1

Agar Nahin Hai Ijazat Sawal Mat Karna

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet