• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Main Dil Pe Jabr Karunga Tujhe Bhula Dunga

Main Dil Pe Jabr Karunga Tujhe Bhula Dunga

main dil pe jabr karunga tujhe bhula dunga

marunga ḳhud bhi tujhe bhi kaḌi saza dunga

ye tirgi mire ghar ka hi kyuun muqaddar ho

main tere shahar ke saare diye bujha dunga

hava ka haath baTa.unga har tabahi men

hare shajar se parinde main ḳhud uḌa dunga

vafa karunga kisi sogvar chehre se

purani qabr pe katba naya saja dunga

isi ḳhayal men guzri hai sham-e-dard akasr

ki dard had se baḌhega to muskura dunga

tu asman ki surat hai gar paḌega kabhi

zamin huun main bhi magar tujh ko aasra dunga

baḌha rahi hain mire dukh nishaniyan teri

main tere ḳhat tiri tasvir tak jala dunga

bahut dinon se mira dil udaas hai ‘mohsin’

is aa.ine ko koi aks ab naya dunga

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Jis Tarah Hath Ki chuDi Ka Khanakna Tai Hai

Sufi

Putli Nayan Phula Palak Barae-digar Khud Mast Hai

tanveer-anjum

Hum donon Mein Se Ek

poet

Jo Qarz Mujh Pe Hai Wo Bojh Utarta Jaun

poet

Dosti Uski Dushmani Hi Sahi

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet