main dariya-e-qanaat-ashna huun
main mauj-e-nishan-e-boriya huun
main ashiq-e-chashm-e-surma-sa huun
gar khaak bhi huun to tutiya huun
tifli hi se vahshat-ashna huun
main us daman-e-dasht men pala huun
dekhe jo mujhe jahan ko dekhe
main aina-e-jahan-numa huun
chal sakte nahin jo baagh tak bhi
taus-sifat adu-e-pa huun
divana jo huun to huun main khamosh
zanjir jo huun to be-sada huun
ta-gor bhi sifat se na pahunchun
bil-farz agar hazar pa huun
sohbat ho barar kis tarah yaar
tu shaah hai aur main gada huun
har sher men zulf ki hai tarif
is bahr men mauj-ashna huun
sunta nahin ek but mira haal
fariyadi tujh se ai khuda huun
kahti hai zaban-e-hal se maut
main dard-e-firaq ki dava huun
kahti hai ye ruuh tan se har-dam
tu khaak jo ho to main dava huun
ye tausan-e-umr garm-raftar
kahta hai main ab charagh-pa huun
ai ‘arsh’ ziyarat ab karunga
main rah-rav-e-dasht-e-karbala huun
Leave a Reply