• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Main Chup Rahun To Goya Ranj-O-Gham-E-Nihan Hun

Main Chup Rahun To Goya Ranj-O-Gham-E-Nihan Hun

poet

main chup rahun to goya ranj-o-gham-e-nihan huun

bolun to sar se pa tak hasrat ki dastan huun

masrur ho tu mujh se main tujh se shadman huun

tu mera mehman ho main tera mezban huun

kahti hai un ki masti hosh aae to main puchhun

ai be-khudi bata de is vaqt main kahan huun

irshad par nazar hai khamosh huun ki goya

chaho to be-zaban huun chaho to ba-zaban huun

jaan ghul chuki hai gham men ik tan hai vo bhi mohmal

maani nahin hain bilkul mujh men agar bayan huun

main huun junun ke hathon makhluq ka tamasha

na-mehrban huun khud par duniya pe mehrban huun

allah-re us ki chaukhat hai bosa-gah-e-alam

kahta hai sang-e-asvad main sang-e-astan huun

kahta hai mera naala lab tak main aate aate

sau ja thama huun rah men is darja na-tavan huun

nafrat ho jis ko mujh se milne ka us se hasil

nazron men kyuun subuk huun khatir pe kyuun giran huun

muddat men tum mile ho kyuun zikr-e-ghair aae

main apne saae se bhi khalvat men bad-guman huun

chup rah gaya payami lekin ye khair guzri

khat ne kaha ki suniye ‘parvin’ ki main zaban huun

Filed Under: Nazm Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Marhala Dil Ka Na tasKHir Hua

Tere KHayal Mein Jab Zehn Mubtala Nahin Tha

poet

Hawa Ko Tham Len KHushbu Ka Ehtimam Karen

poet

Samajh Rahe the Ki Ab Shab Gai Sahar Aai

Tha Abas KHauf Ki Aaseb-E-Guman Main Hi Tha

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet