apni hi ravani men bahta nazar aata hai
ye shahr bulandi se dariya nazar aata hai
deta hai koi apne daman ki hava us ko
sho.ala sa mire dil men jalta nazar aata hai
us haath ka tohfa tha ik daagh mire dil par
vo daagh bhi ab lekin jaata nazar aata hai
ankhon ke muqabil hai kaisa ye ajab manzar
sahra to nahin lekin sahra nazar aata hai
ik shakl si banti hai har shab miri nindon men
ik phuul sa ḳhvabon men khilta nazar aata hai
ankhon ne nahin dekhi us jism ki ra.ana.i
ye chaar taraf jis ka saaya nazar aata hai
dariya ko kinare se kya dekhte rahte ho
andar se kabhi dekho kaisa nazar aata hai
phir zau men ‘nadim’ apni kuchh kam hai sitara vo
ye raat ka a.ina dhundla nazar aata hai
Leave a Reply