labon tak aaya zaban se magar kaha na gaya
fasana dard ka al-muḳhtasar kaha na gaya
harim-e-naz men kya baat thi jo raaz rahi
vo harf kya tha jo bar-e-digar kaha na gaya
ye hadsa bhi ajab hai ki tere gham ke siva
kisi bhi gham ko gham-e-mo’tabar kaha na gaya
nafas nafas men tha ehsas-e-ḳhana-virani
ḳharaba-e-gham-e-hasti ko ghar kaha na gaya
talash karta huun ima-e-iltifat abhi
vo kya nazar thi ki jis ko nazar kaha na gaya
junun ne fikr-o-nazar ko vo rif.aten baḳhshin
ḳhirad ko ham se kabhi dida-var kaha na gaya
na koi shor na ghaugha na hav-hu na ḳharosh
ḳhizan ko mausam-e-derina-gar kaha na gaya
dil iztirab-e-guzarish ka mahsharistan tha
kisi ke samne kuchh bhi magar kaha na gaya
Leave a Reply