main bhi raushan huun jamal-e-ruḳh-e-janan men kahin
ḳhaak parvana bhi hai sho.ala-e-uryan men kahin
kisi paikar men bhi pahchan nahin hai us ki
kya suragh us ka mile dasht-o-gulistan men kahin
hijr ke daagh men tabdil hua lamha-e-vasl
thi kami koi mire shauq-e-faravan men kahin
jal gaya baagh magar sham-e-numu-ḳhez ki lau
sabz hai har shajar-e-soḳhta-saman men kahin
mujh ko sho.alon men bhi jiine ka sikhata hai hunar
ik samundar mire atish-kada-e-jan men kahin
apni vahshat ka ghubar uThte hue dekhta huun
main bhi huun apne hi ahu-e-gurezan men kahin
‘ishrat’ ik harf-e-basharat thi vo avaz-e-qadam
ik charagh aur jala ḳhana-e-imkan men kahin
Leave a Reply