main band ankhon se kab talak ye ghubar dekhun
koi to manzar siyah dariya ke paar dekhun
kabhi vo aalam ki us taraf aankh hi na utthe
kabhi ye halat ki us ko divana-var dekhun
ye kaisa khuun hai ki bah raha hai na jam raha hai
ye rang dekhun ki dil jigar ka fishar dekhun
ye saari be-manzari savad-e-sukut se hai
sada vo chamke to dhund ke ar-par dekhun
tire siva bhi hazar manzar hain dekhne ko
tujhe na dekhun to kyuun tira intizar dekhun
Leave a Reply