
Qamar Raza Shahzad
tujh se bichhḌunga tire dhyan men rah ja.unga
main riha ho ke bhi zindan men rah ja.unga
vo guzar ja.ega sau raste kar ke lekin
main kahin va.ada-o-paiman men rah ja.unga
banjh peḌon ko na kaTega koi dast-e-ajal
main ki phaldar huun nuqsan men rah ja.unga
ek lamha vo pazira.i karega aur main
umr-bhar saya-e-ehsan men rah ja.unga
aag ke phuul to bujh ja.enge lekin ‘shahzad’
main sulagta hua gul-dan men rah ja.unga

Leave a Reply