vo ba-rang-e-e’tibar ankhon men hai
ek taskin ik qarar ankhon men hai
main nai rut ke safar par huun magar
pichhle mausam ka khumar ankhon men hai
khair-maqdam kah rahe hain surkh lab
chahaton ka ishtihar ankhon men hai
raushni ki tarah vo rukhsat hua
jugnuon ki ik qatar ankhon men hai
dubte lamhon ki kashti par savar
karvan-e-intizar ankhon men hai
ek tufan dil ki gardish men ‘sukhan’
ek ju-e-ashk-bar ankhon men hai
Leave a Reply