main apne gham chhupana chahti huun
zara sa muskurana chahti huun
tumhare haath se gir kar achanak
main ik din TuuT jaana chahti huun
tujhe main samne se sochti huun
tujhe main gha.ebana chahti huun
na jaao toḌ ke ahd-e-vafa ko
main dilbar muḳhlisana chahti huun
tu meri umr bhar ki hai riyazat
tujhe main ujratana chahti huun
tu meri oḌhni pe gerua rang
tujhe main sufiyana chahti huun
main dariya huun samundar vo ‘samina’
main us men Duub jaana chahti huun
Leave a Reply