• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Wo Jis Ko Humne Apnaya Bahut Hai

Wo Jis Ko Humne Apnaya Bahut Hai

vo jis ko ham ne apnaya bahut hai

usi ne dil ko taḌpaya bahut hai

hamare qatl ki sazish ke darpai

hamara nek ham-saya bahut hai

dil-e-dard-ashna shauq-e-shahadat

mohabbat men ye sarmaya bahut hai

ajab shai hai chaman-zar-e-tamanna

samar koi nahin saaya bahut hai

ḳhata us ki nahin dil ko hamin ne

tamannaon men uljhaya bahut hai

ḳhuda mahfuz rakhe asman ko

zamin ko is ne jhulsaya bahut hai

tiri yaad aa.i hai to aaj ham ko

dil-e-gum-gashta yaad aaya bahut hai

ba-nam-e-hazrat-e-naseh bhi ik jaam

ki us ne va.az farmaya bahut hai

na kyuun Thukra.en ham duniya ko ‘sahir’

hamen bhi us ne Thukraya bahut hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Samajh Ke Rasta Idhar Se Guzarne Walon Ne

zehra-nigaah

Ye Sach Hai Yahan Shor Ziyaada Nahin Hota

Usne Har Mashq-E-Sitam Hum Pe Rawa Rakkhi Hai

KHatm Har Achchha Bura Ho Jaega

abdurrahman-momin

Yaqin Kaun Karega Guman Pe Aaya Hun

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet