kya gharaz is se kisi ko kitna hai dil-gir kaun
dekhna hai ye pahan kar mar gaya zanjir kaun
log sharmate hain kyon sar par use rakhte hue
le gaya hai chhin kar dastar ki tauqir kaun
peT ki majburiyan fankar tak bhi aa ga.iin
varna dilbar ki bana kar bechta tasvir kaun
meri ankhon ke dariche ḳhuun men tar ho ga.e
ḳhuun men tar ḳhvab ki batla.ega ta.abir kaun
is farishton ke jahan men sirf main insan huun
hota phir mere alava qa.il-e-taqsir kaun
har kisi ko dastaras hai gardish-e-ayyam tak
maut ke andhe safar ki khinchta tasvir kaun
kis ko fursat hai yahan ḳhud-ehtisabi ke liye
dekhta hai ‘jan’ apni aankh ka shahtir kaun
Leave a Reply