bekar ye ghussa hai kyuun us ki taraf dekho
a.ine ki hasti kya tum apni taraf dekho
mahdud hai nazzara jab hain yahi do-alam
ya apni taraf dekho ya meri taraf dekho
milne se nigahon ke kya fa.eda hota hai
ye baat main samjha duun tum meri taraf dekho
munh pher liya sab ne bimar ko jab dekha
dekha nahin jaata vo tum jis ki taraf dekho
manzur ‘aziz’ us ka irfan jo hai tum ko
dekho na kisi janib apni hi taraf dekho
Leave a Reply