main apne dil ki tarah aa.ina bana hua huun
so hairaton ke liye mas.ala bana hua huun
pahunch to sakta tha manzil pe main magar ai dost
main dusron ke liye rasta bana hua huun
main jab chala tha to apne bhi mujh ko chhoḌ ga.e
aur aaj dekh lo main qafila bana hua huun
sitam to ye hai ki hai meri dastan aur main
sharik-e-matn nahin hashiya bana hua huun
kabhi tha qais kabhi ‘mir’ aur ab ‘fartash’
suluk-e-ishq ka ik silsila bana hua huun
Leave a Reply