main apna naam tire jism par likha dekhun
dikha.i dega abhi battiyan bujha dekhun
phir us ko pa.un mira intizar karte hue
phir us makan ka darvaza adh-khula dekhun
ghaTa.en aa.en to ghar ghar ko Dubta pa.un
hava chale to har ik peḌ ko gira dekhun
kitab kholun to harfon men khalbali mach jaa.e
qalam uTha.un to kaghaz ko phailta dekhun
utaar phenkun badan se phaTi purani qamis
badan qamis se baḌh kar kaTa-phaTa dekhun
vahin kahin na paḌi ho tamanna jiine ki
phir ek baar unhin jangalon men ja dekhun
vo roz shaam ko ‘alvi’ idhar se jaati hai
to kya main aaj use apne ghar bula dekhun
Leave a Reply