main abhi ik buund huun pahle karo dariya mujhe
phir agar chaho karo vabasta-e-sahra mujhe
phailta hi ja raha tha main ḳhamoshi ki tarah
qulzum-e-avaz ne har samt se ghera mujhe
mere hone ya na hone se use matlab na tha
tere hone ka tamasha hi lagi duniya mujhe
log kahte hain kisi manzar ka main bhi rang tha
tu ne ai chashm-e-falak uḌte hue dekha mujhe
ashna us paar ke manzar nahin mujh se magar
janta hai dhund ki divar ka saaya mujhe
main ki sannaTon ka mub.ham isti.ara tha koi
dastan hota zamana shauq se sunta mujhe
shukr hai main ik sada tha ta.ir-e-ma.ani na tha
varna vo to zer-e-dam-e-harf hi rakhta mujhe
main hi main huun aur badan ke ghaar men koi nahin
kar diya tanha sagan-e-dahr ne kitna mujhe
Leave a Reply