ab to ye bhi nahin raha ehsas
dard hota hai ya nahin hota
ishq jab tak na kar chuke rusva
aadmi kaam ka nahin hota
tuut padta hai dafatan jo ishq
besh-tar der-pa nahin hota
vo bhi hota hai ek vaqt ki jab
ma-siva ma-siva nahin hota
haae kya ho gaya tabiat ko
gham bhi rahat-faza nahin hota
dil hamara hai ya tumhara hai
ham se ye faisla nahin hota
jis pe teri nazar nahin hoti
us ki janib khuda nahin hota
main ki be-zar umr bhar ke liye
dil ki dam-bhar juda nahin hota
vo hamare qarib hote hain
jab hamara pata nahin hota
dil ko kya kya sukun hota hai
jab koi aasra nahin hota
ho ke ik baar samna un se
phir kabhi samna nahin hota
Leave a Reply