mai-o-saqi hain sab yakja ahahaha ahahaha
ajab aalam hai masti ka ahahaha ahahaha
bahar aa.i tuḌane phir lage zanjir divane
hua shor-e-junun barpa ahahaha ahahaha
jin ankhon ne na dekha tha kabhi yak ashk ka qatra
chale hain us se ab dariya ahahaha ahahaha
mire ghar is hava men saqi-o-mutrib agar hote
to kaise mai-kashi karta ahahaha ahahaha
kiya ‘bedar’ se ashiq ko tu ne qatl ai zalim
koi karta hai kaam aisa ahahaha ahahaha
Leave a Reply